Why our country's Advisory Boards are stupid and how to improve our country's doctrine ?

141°
Finance Ninja
abhishek012

Why our country's Advisory Boards are stupid and how to improve our country's doctrine ?

I was browsing youtube and found this short video - 

https://www.youtube.com/shorts/q4FiF..._Y

Hydrogen is a very bad fuel. Phir bhi lage hue hai sab Hydrogen fuel car banane me.

Logo ko simple baat samjh nahi aata hai Hydrogen ki density bahot low hote hai, litre me agar measure kiya jaye toh.

Aur contain karna Hydrogen ko muskil hai leak kar he jayega. Isiliye toh rocket engine ko akhiri kuch mins pahele Hydrogen se fill kiya jata hai.

Phir Hydrogen ko contain karne k liye jo metal ka use karte hai usko under se tod deta hai. jiske chalte yeh bahot costly ho jata hai

4th, Sab se funny baat - Hydrogen layenge humlog kaha se, water se ?

Water se hydrogen ko extract kar k nikalne me utna he energy waste hoga, jitna hydrogen ka use karne me hoga. Aur isme kuch inefficiency bhi hota hai

Short me bolu toh hydrogen ko water se extract karne me agar approx 100 Megawatt ka energy daale toh 50 Megawatt ka engery milega hydrogen fuel se.

Faida kya hua isme ? aur yeh 100 Megawatt ka energy humlog layenge kaha se fossil fuel se ? phir faida kya hua. 😀😀

5th, Western countries ne already try kar chuka tha 2000s me, Hydrogen Car buri tarike se failed hua tha kyunki utna density hai he nahi hydrogen me. 

Aur sab se first hydrogen engine 1806s me bana chuke the, aaj se 200 years se bhi pahele.

Result kya aaya iska ? kam nahi karta hai. Hydrogen is a very bad fuel.

Last thing, Hydrogen car ek Electric Car he hai. Sidha sidhi Electric Car he banao na. Baki battery aur charging station pe aur R&D karo kam dega.

Advisory Boards ka kam hota hai faltu k kharche na kare, uske detail me research kare pahele but pata nahi humare country k Advisory Boards kya karte rahete hai.

Hyperloop k tarah yeh bhi ek scam niklega last me.

Science and physics k kuch laws hote hai usko hum break nahi akr sakte hai chahe kitna bhi engineering lagale.

Expired
15 Comments  |  
7 Dimers
  • Sort By
Entertainer Entertainer
Link Copied

Ok. Bookmarking this thread.

Helpful Helpful
Link Copied

Adani?

Check this once

Pro Community Angel Pro Community Angel
Link Copied

Please make a video on this on YouTube content you have already prepared

Generous Generous
Link Copied

Abhishek bhai.. things are not so straightforward-

1. Govt is pushing green hydrogen.. made from renewable sources.

2. Use case is not cars, but wider. Ex. Heavy vehicles, trucks, bus, aeroplanes n jets (futuristic). Hydrogen gas will also be used in sectors apart from transport also, like industrial uses.

3. India lacks resources for EV battery manufacturing.. will need to import raw materials. And will also take forever to reach technology level of Tesla, etc. So to circumvent these limitations, green hydrogen is being promoted.

4. Most importantly, we are trying to innovate n develop an entirely new path, where we will be market leaders like UPI. We’ll be atmanirbhar & exportable surplus will be there as well.

Finance Ninja Finance Ninja
Link Copied

Abhi humlog 100% renewable me convert nahi kar pa rahe hai and you guys are talk about humlog renewable energy se hydrogen nikalenge, jiske liye hume 200% renewable energy produce karna parega aur wait actual me 300% to 400% renewable energy produce karna parega abhi k requirment k hisab se, woh bhi batata hu kis liye.

Aise Sunne aur bolne me hydrogen car bahot cool lagta hai but at the end of the day economy isko sustained nahi kar payega.

Aur log bhul jate hai. hydrogen ki density bahot low hote hai.

1 litre kerosine vs 1 litre hydrogen ki density kitna hota hai, woh bahot kam hote hai.

Hydrogen ko store karne k liye spherical shape k container chahiye jo Heavy vehicles, trucks, bus, aeroplanes and jets me impossible hai store karna.

Baki dusre shape k container me leak kar payega hydrogen, aise khule me store nahi kar sakte hai

Hydrogen ko le kar usko compressed karna parega, usko thanda karna parega, usme bhi hume energy daalna parega, Phir usko fuel cell me daalna parega jab oxygen se woh react karega. phir Hydrogen car chalega aur uske bhi heat produce karega.

Total iska result aayega ki humlog kai 100 MW energy daalenge tab ja kar hume 60-70 MW energy milega.

Isiliye bola ki actual me 300% to 400% renewable energy produce karna parega.

Yeh sab Science and physics k laws hai jo bata raha hu. Engineering isko solve nahi kar sakta hai, chahe technology kitni bhi aage badh jaye.

Sab se interesting baat yeh hai ki pure India me Heavy vehicles ki jitni requirement hai usko pura karne k liye. Hydrogen extract ka plant itna bada bana na parega ki pura Uttarakhand state hai humare desh ka. usko pura kurban karna parega. Utna bada area chahiye tab ja kar hum India k Heavy vehicles k requirement ko pura kar payenge. Kyunki maine bataya tha pahele iske liye double triple solar power plant ki jarurt parega Hydrogen ko extract karne k liye. jo ki impossible hai karna. Itna jagha nahi hai humare desh me.

EV battery manufacturing k liye raw materials pe hume R&D karna parega. Hydrogen pe already kar rahe hai, befaltu k R&D. Usse better hai lithium-ion ko khojne me R&D kare. Aisa kabhi nahi hota hai ki kisi chiz ki kami hai. Ish calculation se year 2000 me he humara Petrol & diesel khatam ho jana chahiye tha. jitna R&D karte hai utna pata chalta hai, acha yaha bhi lithium-ion hai. woha par bhi hai.

Aur recycling bhi kar sakte hai.

Lead–acid battery 200 years old technology hai but logo k gharo me Lead–acid battery aane me itna time kyun laga ? because last kuch decades pahele ispar R&D hua aur hume pata chala Lead–acid battery ko hum 99% recycling kar sakte hai. Tabhi toh logo k gharo me invertor me, Electric auto-rickshaw me Lead–acid battery dekhne ko milta hai aur profitable bhi hai.

Same chiz hume lithium-ion battery pe R&D aur karne ki jarurt hai.

Ek baat aur Hydrogen and EV ka range same hota hai aur Hydrogen car jo hai woh electric car he hai. Hydrogen ko hata k chupchap lithium-ion battery laga do over all woh jada efficient hai.

Last thing, Heavy vehicles k liye sab se best alternative hai Bio fuel aur usme bhi Sea weed sab se best hai. Bio fuel k alawa duniya me koi aisa fuel nahi hai jo fossil fuel k jaisa energy de sake.

Bio fuel me hume aaj k koi bhi Heavy vehicles me kuch bhi changes karne ki jarurt nahi hai. Ajtak humlogo ne Petrol and diesel pe jitna R&D kiye hai wohi R&D ka use kar k Bio fuel bana sakte hai. Sea weed fuel samundar me banta hai aur India k pas samundar ki koi kami nahi hai.


Aeroplanes, jets ho ya jumbo jets ho. Usko Bio fuel k alawa koi alernative renewable energy nahi udda sakta hai. chote mote 8-12 seats wale Aeroplanes jarur udd jayega Electric or hydrogen se aur actualy me use bhi karte hai Electric plans but bade Aeroplanes/jumbo jets k liye Bio fuel sirf usko udda payega.

@DRI Yes, aur baat yeh nahi hai ki koi new ideas pe kam karna ya R&D kar k dekhna nahi chahiye, Par kuch chize aise bhi hote hai jo already kuch countries kar chuke hai aur buri tarike se failed hua hai.

Agar koi bolta hai ki hum Udne wale jute bana sakte hai (Flying shoes) toh thik hai usme dono side k log honge koi bolega yes bann jayega aur koi bolega nahi banega. Par agar koi country actually me billion dollar kharch kar k Flying shoes banaya aur failed ho gaya toh usse toh sikhlo, Par nahi hum bhi billion dollar kharch kar k Flying shoes banane ka try karenge. 😀😀Aur hydrogen vechiles me actual me bahot se American companies Billion dollar kharch kar chuka hai aur fialed hue hai. Unse toh sikh lena chahiye.

Yeh Petrol pe 20% Ethanol blend ki jo baat chal raha hai yeh bhi bahot kharab hai. Log Brazil ka example dene lagte hai, par iska side effect nahi dekhte hai ki Brazil k farmers sugar cane k chakkar me dusre sabji ugana he chorr diya. Brazil k forest ko kaat k farming kar rahe hai sugar cane wagera ki. jisse khane ki price uppar bhag raha hai. Farmers sabji ugane k jagha sugar cane uga rahe hai. India me aise he logo k pas khana nahi pahochta hai aur mahengai se aam log gussa jate hai. Par aam logo ko yeh baat samjh nahi aata hai ki Farmers ki help k chakkar me apna he khane ka price mahenga kar rahe hai. Yeh aaj aur kal me nahi hoga Brazil ko 20 years me yeh pata chala. jo Brazil apna khana khud ugata tha ab sabjiya import bhi karna parta hai Brazil ko.

India ka bhi yehi ho jayega. Ethanol blend ka agar 20% se aur jada increase kar diya toh Brazil k tarah Indian farmers bhi bolega. Sabjiya kahi aur dusre country se import karo. Hum toh chale sugar cane ki farming karne. 😀😀

Aur sach me kuch Khan sir jaise bade teachers aise baat kar rahe the youtube pe ki "Sochiye agar Ethanol hum 50% petrol me mixed kar dete hai. Humara desh k farmers ki income badh jayega, hum petrol k liye middle countries pe itna depend nahi rahenge." Par kon samjhaye ki bhai hum bhale petrol k liye kisi country pe depend karna chorr denge but khane k liye phir kisi aur country pe phir depend ho jayenge.

@agnivo007

Deal Cadet Deal Cadet
Link Copied

@admin Is this better suited for Political and Social?

Finance Mentor Finance Mentor
Link Copied

Captive solar farms se hydrogen nikalneka plan hai paani se, almost free power... isliye itna solar solar chilla raha hai aajkal... To 50% waste bhi ho to kuch aata jaata nahin.

Finance Mentor Finance Mentor
Link Copied

Last baat pe aate hain, ethanol blend ke liye doosre ("pahucha hua desh jaise US of A") deshon mein bhutta-makka (corn) se mostly banaya jata hai. Acre pe acre mechanized farming, low cost, high yield - lots of surplus industrial ethanol milta hai.

Yahan pe bhi banjar kheton mein mechanized farming se yeh kiya ja sakta hai... makke ki soil ya etc demand utna khaas nahin hota hai - wild grass jaisa hi toh hai! Aur main staple diet ya commodities mein bhi nahin hai makka.

Finance Ninja Finance Ninja
Link Copied

Hmm. But last me ek baat aur aa jata hai. Itna sab Ethanol k piche bhagne ki jarurt bhi kya hai. Hume pure tarike se fossil fuel ko replace karna hai, fixed se kam nahi chalne wala.

Shanti se Bio fuel pe focus karte hai. Bio fuel pe jada R&D ki ab jarurt bhi nahi hai. Already test ho chuka hai Bio fuel pe. Sea weed fuel sab se best hai aur already tested hai logo ko pata hai kaise banate hai. Bas large scale pe ab produce karna hai.

Plus point yeh bhi hai hume apne vechiles me kuch changes karne ki jarurt nahi hai. Yehi Enigne se Sea weed fuel se bhi chala sakte hai.

last thing, aaj nahi toh kal yeh saare Hydrogen aur na jane kya kya batteries aaye din naya naya late rahete hai aluminium battery, diamond battery etc sab method flop hone he wale hai aur Bio fuel pe he jada focus karega. Par kab govt, Advisory Boards aur baki bade companies ko akal aayega woh dekhna parega.

Bas EV rahega, kyunki EV long term me profitable hota hai, shayad 5+ years me. Bio fuel sirf heavy vechiles ko replace karega.

Humare pure matlab humanity ko ek dusra Elon Musk ki jarurt hai jo sea weed fuel ko large scale me produce kar k pure duniya ko bata de, Yehi hai future, baki sab hato re. Sea weed fuel hai sab se sasta and renewable.

Generous Generous
Link Copied

Abhishek bhai… point samajho.. Govt Green hydrogen (GH) ko promote kr rhi hai, na ki sirf hydrogen as vehicle fuel ko. 

Aur GH k kai uses hai-

1. Production of ammonia & in crude refining (presently more than 90% Hydrogen yhi use hota hai)

2. Methanol production (near future me definitely Hydrogen use hoga)

3. Steel industry (potential demand driver for GH use if pricing is competitive)

4. HDV- Heavy duty vehicles (potential demand driver of GH if tech matures)

5. As energy storage (potential demand driver of GH if price is competitive + other factors)

6. Futuristic or speculative like in aeroplanes, blending in existing cooking gas, etc. These are not considered by govt as tech is in infancy.


Aapke jyadar points sirf usecase (4) ke liye relevant hai.. ie.

1. Efficiency issue  2. Density n Storage problem

Green hydrogen ke baaki uses ke lie ye sab problem relevant hi nhi hain.


So policy of promoting Green Hydrogen is good.

Ab hydrogen car ki baat kre.. jispe aap emphasis kr rhe ho to vo fir EV vs Fuel cell car ki debate ho jaegi.

I agree with your opinion that biofuels should be explored n promoted. Par vo bhi govt kr rhi hai. Biofuel pe kafi policy support dia hai govt ne.

@abhishek012 @agnivo007

Finance Ninja Finance Ninja
Link Copied
Hydrogen as vehicle fuel ko bhi promote and ispar R&D kar rahi hai govt. Jo koi kam ka nahi hai.

Mera pura topic Hydrogen Vechiles k uppar he hai. Kyunki ishi ko log "Cars of the future" kar k bulane lage hai.

Hydrogen fuel ka use heavy vechiles ho ya Aeroplanes ho. Kahi use nahi hone wala hai.

Hai but ek place hai "ship' me Hydrogen ko as a fuel ka best use ho sakta hai, Kyunki yeh log already jante hai Hydrogen ko kaise handle karte hai aur yaha bade bade ships me jagha ki koi kami nahi hai.

Baki Hydrogen as vehicle fuel kabhi nahi use hone wala hai. Same like Hyperloop, bas kuch saalo tak logo ko sunne aur chote mote trial dekhne me maza aayega but large scale pe impossbile hai. Hydrogen ko handle karna bahot muskil hai.

Aur "Hydrogen embrittlement" karta hai. Matlab jis Container me Hydrgen ko rakhenge us k crystal structure ko tod deta hai agar hydrogen thoda sa bhi leak hoga toh, matlab jo metal 10 KG handle kar sakta tha usko 1 KG me he tod dega kuch dino k baad. Aur yeh har metal k sath hota hai, isiliye Hydrogen ko handle karne k liye Carbon ka banana parta hai jo ki bahot costly hai.
View 2 more replies
Finance Mentor Finance Mentor
Link Copied

I have learnt some "sabak"s in this life out of experience, and I'm no kid but entering middle age. One of them is "You can't win all : or satisfy or go on continuing with some people as each has their own style and may not suit your style or behaviour. One of such is continuing to stress on the same point again and again and never try to come to a conclusion or think about alternative viewpoints. Better to draw your line and walk off if you encounter such people and such situations gracefully..."

And yes, coming to last point (like I did before), biofuels - seaweed or cultivated jatropa... Well, even source of iodine is seaweed and we cannot harvest seaweed in mega/kilo tons from underwater like we can easily do for crops on land. Nor can we cultivate them synthetically. Harvesting too much can severely affect marine ecology if we are really able to extract in kilo tons : so that's a concern too...

And yes, I draw a period here to this thread until some extraordinary discussion happens. (Yes, people who don't understand the use of the word "period" here can laugh like circus clowns while I smoke my stick)...

replyuser
Click here to reply
Reply